kahaani hai yeh adhoori abhi
sunaata hoon aaj tumhe
sunoge toh sochoge....
milti hai kya aisi mohabbat kabhi??
tha deewana sa ek ladka
thi pari si ek ladki
chaahta tha woh use kitna
par dil mein chaahat chupi rehti
ek jhalak us pari ki paane ko
aankhen pyaasi use dhoondti
7 baje ki class mein pahuchta itne jaldi
par har baar aane mein uski rehti kaafi deri
chalti andar padhai par nazren rehti darwaaze par tiki
phir maano chamatkar hota
ya tootti thi koi bijli
bheege baal,ek meethi muskaan ke saaath daakhil jo woh hoti
dil mein dhadkan maano kahin ruk si jaati!!
chaahta tha use itna sochta kaise bataaye??
ho jaye naaraaz to kya
fir use mana paye??
yeh sochkar rehta khush ki dosti se khush hai...
uske chehre ki chamak hi uski jeene ki lau hai..
samay chala aage dosti hui thodi gehri
dil par tab bhi lage the pehri.
dil mein tasveer liye intezaar use uska rehta
din pratidin tha use hi sochta rehta
aankhen itni pyaari, uski ek hansi par marta
ghanton baithe use dekh sakta..
kahe ki woh sardiyon ki dhoop thi
par taarif ye bhi kam hoti...
ek raat..
aaya woh pal jab usse aur na raha gaya...
dara dara sehma hua pari bano ko usne woh raaz khol diya
sun kar yakeen na hua us pari ko
sahi mein uske laayak kahaan tha ladka
naaraaz na hui woh yeh ladke ne shukr manaaya
khush tha kam se kam saath toh na gawaaya!!
phir usne poocha kya kaabil hai woh uske
hai intezaar usse is jawaab ka...
aage ki kahaani aur kya likhoon-bas yahi
ek pari si thi ladki
ek diwaana sa tha ladka....
No comments:
Post a Comment