aati hai teri yaad toh
samay kyun yun ruk sa jata hai,
aankhon mein reh jata hai sirf chehra tera
kyun mann aur kuch soch nahi pata hai....
tujhse hi hai duniya ye meri,
tujhse hi dil abhi bhi zinda hai,
mujhe yun akela chod mat jaa
mere aasmaan ka tu hi ek parinda hai...
kaise bataaoon tumhe kitna tumhe chahta hoon,
hoti hai naaraaz kabhi toh
main marr hi saaa jata hoon,
tere bin zindagi mein ek ajab si tanhai hai,
jeeta hun tere bin toh aankhen ro aati hain...
No comments:
Post a Comment