doob ke teri aankhon me khona
bandh ke teri baanhon me sona
tera yun meri yaadon me hona
mera yun tujhe yaad kar rona
kyun tera main ho na paya
kyun tera main ho na paya...
chehre pae teri mera marna
tujhse choti baaton par ladna
ched kar tujhko yun hasna
teri hi bas baatein karna
kyun tu mujhko sataya
kyun tera main ho na paya...
yaadein rulaye teri
khwabon se tu jaye na meri
tera chup se yun aana hans kar
tujh me kho jana mera phas kar
kyun tune mera dil churaya
kyun tera main ho na paya..
mere dil ki pari hai tu hi
jeene ki kahaani hai tu hi
tu jo mera nahi hai ab
jeene ki chaah rahi hai kab
kyun tera main ho na paya
kyun tera main ho na paya...
No comments:
Post a Comment